Posts

Showing posts from October, 2025

YUN BHI

Image
Dil mein aitbar hai ikraar hai intizar hai  Tum yun bhi kaho kabhi ky piyar hai   Bad e zamane k ilham bhi to kae hain  Arsh pe tere zikar k tamashay kae hain Aise ksay hum waswaso k peechay jea  Teri zulfon k mare lotay to raah bhi na pae Ab bayaan bhi kare, to kaha raha sadgi e khayal ka qisa  Jal na uthay zamana ager ankho se kajal hata do tum  Ek hajoom barpa hai bazaar main  Ye bhi ek qisa hai bimare yar main  Kaho to lik du tuhmei kia chupa hai khumar e yar main Jo kar sako taqaza to sare aam karo  Ye achay se dekh na tasqeen e yar, wafa e piyar nahi  Dil mein aitbar hai ikraar hai intizar hai  Tum yun bhi kaho kabhi ky piyar hai By Usman Ghani

BE KHABRI MAIN

Image
  Mein likhu be khabri mein teri baat Or phir pal pal karu sab ghumra  Dekh meri saadgi  Main sharabo main doob k bhi hooro main raha Kyun kehty ho Mahabbat mai hum sab luta chukay  Kae wafa k qisay bhi mujh se juray juray se hain Mein ek naam lu bas tera or farishty tere saray sab saza mai hain Khawaab k gilay  Adhoray waaday  Nakaam mulaqatay  Jalay huea khat  Bheegay gulaab  Or teri jhuki nazar  Tera shehar mere dil mai hi  Tu maangay jo dua mein Mein likhu wo sujood mein Kia ye bhi kam hai tu rakhay qadam  Or naksh mai mera zameer ban jae Tha ye wo wqat jub tera mera kuch nhi zakham jo bhi wo hum ban jae Ab jo jali basti to jalay, fasanay bhi dewaane bhi  Ab main aag jese, per usay jalna nhi hai By Usman Ghani