Posts

Showing posts from July, 2025

SALAM HUSSAIN

Image
Kya khoob kirdaar hua ro numa  Jub likha gaya 72 k khoon se karbala  Ajab fiza soogwaar hue jab teer laga tujhe aye Zuljana  Baat baith ki hai to aa beth tujhe hum batate hain  Aao chalo karbala tumhe dekhae  Jahan se ajj bhi ati hain 72 ki sadae Qissa mukhtasar nahi hai ab ye dam ba dam har dam hai reh numa  Hai Asad ullah hai Wali ullah  Hai Ain ullah  Reh gaya  akela per wafadar bana  sach ka salar bana  Rakha jo maidan mein qadam to  jesa ali ki zulfikar bana Wada wafa kar gaya sach ka rasta sab ko batla gaya  Sajjdo mei sajjada awal kar gaya  Khud ko luta, ghar ko bhi  lutta gaya  Mager deen Nana ka qayamat tak likha gaya  Ab har su nara Hussain ka hai Ali ka hai  Kabay se le kar najaf tak deen meray Hussain ka hai  Salam ho tum per ay Janam Hussain Salam ho tum per ay Ghum Khar e Hussain Salam ho tum per bhi  ay Wafadar e Hussain  Pochay koi to kehna shia sunni nahi hun mein...