Badalta Saal
Ab jo guzar gaya us main janay ki baat kia Ab jo aa raha hai us main bhi jeenay ka mahol kaha Tum kaho to hai ye nayal saal Werna zindagi mai ab jawaani kaha Saal dar saal ki baat nahi Ye gham e qissa purana hai Mere gham ki shaamo mein to saalon ko yu hi ana jana hai Ye dil nahi siyasi is per to mehshar tak bashar ka saya hai In chalti sanso ko to shayad jaise naea saal main kahi kho jana hai Ye 365 din ya 12 mahino ki baat nae Meri waqt se jaise ye pehli mulaqat nae Mai 25 main bhi saal 24 se bahar nae Insaan ab buray waqton mein waqton ka yaar nae Sach kahi kho gaya jhoot k zamaanay lot ae Ham kaha se kaha khud ko dhoond laea Zameer kahi reh gaya per ham kahaanio ko pehchan tak lay ae Is saal se us saal tak hum musibato ko bhi hum saat piro laea Vasi safar hai koi to karam nawazi ho Koi to saazish ho sifarish ho Beshak mukhtasar meri kahani ho Par naye saal pe sab ki zubani ho By Usman Ghani